donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
AAG/AATISH

Is aag ko na aab samajh, fart-e-shauq mei_n

dunia samajh rahi hai hawa-e-sukhan kee aag

Author : Kalim Akhtar

Woh aag aag thee, kabhi shabnam nahi_n bani

Akhtar magar yeh aag shajarti hui mili

Author : Kalim Akhtar

Ye barasti aag, yeh shoala dil-e-betaab ka

kaash hota mausam-e-garma mein ghar barfaab ka

Author : Kalim Akhtar

 Bujhti nahi_n hai subh talak barq-e-soz-e-gham

 kis aab se bujhau_n mai_n apne badan kee aag

Author : Kalim Akhtar

 Shabnam, sharar, ki barq thee tere badan ki aag

 kis kis libaas mei_n thee sajan raat, tan ki aag

Author : Kalim Akhtar

Soz-e-duroon jalane chali barq-e-soz-e-gham

aab-o-hawa hai, aag hai, kiya hai, pataa nahin

Author : Kalim Akhtar

Nigah chashm bina aisi mddham hai ke mat poocho

kahin kya is qadaryan roshni kam hai ke mat pooch

Mizaj tirgi bhi itni bar hum hai ke mat poocho

Ab insano ki basti ka yeh alam hai ke mat poocho

Lage hai aag ek ghar mein to hum saya hava de hai

Author : Kaleem Ajiz

har chaoo_n koi lay gaya utha kar

aab dhoop mei_n har shehar jal raha hai

aye bhai ajeeb hai yeah duniya

kiss aag say tu behal raha hai

Author : Obaidullah Aleem

Jalna hai to aatishe mohabbat mei_n jalo,

khaak banna hai to khalq ka parwana bano

Author : YAAS BIHARI

Tere badan-ki aag-se aankho_n mei_n hai dhanak,

Apne lahoo-se rang ye paida nahi_n huye.

Author : Saaqi Faruqui

Aag apne-hi lagaa sakte hai_n,

Ghair toh sirf hawaa dete hai_n.

Author : Mohammad Alvi

Ab-kyaa ye dhuaa_n-sa uth raha-hai

Wo shehr toh kab-ka jal chuka hai

Author : Mazher Imam

Shahid charaag saath na-denge toh kya hua

Roshan rakhegi dil-ko ghum-e-surkhru ki aag.

Author : Shahid Jameel

Aag hai,aulaad-e-Ibraaheem hai, Namrood hai 

Kya kissi-ko phir kissi-ka imteha_n maqsood hai

Author : Allama Iqbal

Aag-ke sholo_n-se roshan shehr saara ho gaya,

Ho mubaarak,aarzoo-e-khaar-o-khas poori hui.

Author : Shahryar

Aag ho to jalane mei_n der kitni lagti hai,

Barf ke pighalne mei_n der kitni lagati hai,

Chahe koi ruk jaye chahe koi rah jaye,

Qafilo_n ko chalne mei_n der kitni lagati hai.

Author : FARHAT ABBAS SHAH

Ab Ye Hoga Shayad Apani Aag Mei_n Khud Jal Jayenge,

Tum Se Duur Bahut Rah Kar Bhi Kya Paya Kya Paye_nge,

Dukh Bhi Sache Sukh Bhi Sache Phir Bhi Teri Chahat Mei_n

Ham Ne Kitane Dhoke Khaye Kitane Dhoke Khayenge

Author : Ahmad Hamdani

Ek padosi ke ghar mai_n aag lagi

Aur dhooa_n bhar gaya mere ghar me_n

Ek hamsaya ne jo ki faryad

Gaunj utha dared qalab muztar mai_n

Author : Perwez Shahidi

Saaya mera mujh se masl-e-door bhaage hai,

Asad, Paas mujh aatish ba-jaan ke kis se thahra jaae hai.

Author : Ghalib

Mujhe phoo_nka hai soz-e-qatra-e-ashk-e-mohabbat ne,

Ghazab ki aag thi, paani ke chhote se sharaare me’in.

Author : Iqbal

Us kooche ki hawa thi ke meri hi aah thi,

Koi tau dil ki aag pe pa_nkha sa jhal gaya.

Author : Momin

Dil ke phaphole jal uthe seene ke daagh se,

Is ghar ko aag lag gai, ghar ke chiragh se.

Author : Unknown

Dekh tau dil ke jaan se uth-ta hai,

Yeh dhooaa_n sa kahaa_n se uth-ta hai.

Author : Mir Taqi Meer

Aatish buland dil ki na thi, warna aye kalim

Har shola barq-e-khirman-e-sad, koh-e-toor tha.

Author : Mir Taqi Meer

Waade ne tere dil mei_n nai aag laga di,

Haalaa_nke mulaqaat ka imkaan tau nahi_n hai.

Author : Aazurda

Bahla na dil, na teergi-e-sham-e-ghum gai,

Yeh janta agar, tau lutata na ghar ko mai_n.

Author : Fani

Aatish-e-ishq ne Ravan ko jala kar maara,

Garche Lanka sa tha us dev ka ghar paani mei_n.

Author : Mir Taqi Meer

Dil ko pighlaata hua, aankho_n ko garmaata hua,

Phir khayaal e-yaar aaya, aag barsaata hua.

Author : Shayri Bhopali

Aatish-e-dozakh mei_n yeh garmi kahaa_n,

Soz-e-ghum haae nihaani aur hai.

Author : Ghalib

Dil mein zauq-e-wasl-o-yaad-e-yaar tak baqi nahi_n,

Aag is ghar mei_n lagi aisi ke jo tha jal gaya.

Author : Ghalib

Jo aag lagaai thi tum ne, usko tau bujhaya ashko_n ne,

Jo ashko_n ne bharkaai hai, us aag ko thanda kaun kare!

Author : Jazbi

Jungle mei_n aag lag rahi thi rang-e-gul se,

Mir, Bulbul pukari dekh ke: sahib, pare, pare!

Author : Mir Taqi Meer

 
Total Visit on AAG/AATISH : 4461