donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
AMAL

 


وہ قتل گاہ پہ پھر، اِختیار چاہتا ہے
لہو میں ڈُوبا ہوا، اِقتدارچاہتا ہے
لگی ہو چاٹ جسے قتلِ عام کی وہ شخص
چھری کوپھر سے بہت تیز دھار چاہتا ہے

عزیزبلگامی

Author : Azeez Belgaumi

ہم خوب سمجھتے ہیں

کیوں آ پ چہکتے ہیں

یہ رنگ نرالا ہے

کچھ دال میں کالا ہے

Author : Abdul Sattar

 

ہم کئی تھے اور ہمارے راستے بھی تھے کئی

وہ اکیلا تھا سو اس نے معرکہ سر کر لیا

 

ظفر اقبال

Author : Zafar Iqbal

 

کوئی ہاتھ بھی نہ ملائے گا جو گلے ملوگے تپاک سے

یہ نئے مزاج کا شہر ہے ، ذرا فاصلے سے ملا ک

Author : Bashir Badar

 

زاہد کا دل نہ خاطر _ میخوار توڑیے

سو بار توبہ کیجیے سو بار توڑیے

 

Zahid ka dil na Khatir-e Maikhawar Todiye

Sau baar tauba keejiya sau baar to todiye

Author : Hawas Lakhnawi

-- گھر کے دھندے کہ نمٹتے ہی نہیں ہیں ناہیدؔ

میں نکلنا بھی اگر شام کو گھر سے چاہوں

 

Author : Kishwar Nahid

 

مسکرا دے، قصہ امید کردے مختصر

یا بڑھالے چل ذرا سی بات کو افسانہ کر

(ہری چند اختر)

Author : Hari Chand Akhter

Munsif mera mujrim ka tarafdar baney ga

Iss tarha to mai ne kabhi socha bhi nahee_n tha

Author : Kausar Samreen

Itna mai_n bhi jaanti hoo_n kya meri pehchan hai

Haan magar tujh ko samajhna itna kab asaan hai

Author : Muzaffar-ul-Nisa Naaz

ANNA-PM ki musical baatcheet...c'mon sing everybody

ANNA :

Bill cheez kya hai aap meri jaan lijiye

Bas aik bar mera kaha maan lijiye

PM :

Chamaktey chand ko toota hua taara bna dala

Teri annagiri ne mujhko bechaara bna dala

ANNA :

Aasma ko dharti pe laney wala chahiye

Jhukta hai PM jhukaney wala chahiye

PM :

Tod do anshan zamana kya kahega

Aapka toh desh hai sara diwana,diwana kya kahega

ANNA :

Justuju jiski thhi usko toh na paya humney

Bill kaha'n apni tarah paas kraya

Author : Minhajul Islam

Roz-e-hisaab jab mire. pesh ho daftar-e-amal,

Aap bhi sharamsaar ho, mujhko bhi sharmsaar kar.

Author : Allama Iqbal

Tah-o-bala kiya hai gardish-e-aamaal ne mujhko,

Na dushman hai zamee_n meri, na dushman aasmaan Mera

Author : Chakbast

Har saie-o-har amal mei_n mohabbat ka haath hai,

Taameer-e-zindagi ke samajh kuchh muharrkaat

Author : Firaq Gorakhpuri

Zauq-e-amal ke bas mei_n hai tashkeel-e-kaaenaat,

Zauq-e-amal ho shart magar aagahi ki hai.

Author : Akbar Hyderabadi

Yahaa_n kotaahi-e-zauq-e-amal hai khud-griftaari,

Jahaa_n baazoo simat –te_n hai_n wahi_n sayyaad hota hai

Author : Asghar Gondvi.

Aamaal ka talism hai nairang-e-zindagi,

Taqdeer kya hai, gardish -e-lail-o-nihaar kya

Author : Chakbast

Yehi aaeen-e-qudrat hai, yehi asloob-e-fitrat hai,

Jo hai rah-e-amal mei_n ghaamza_n mahboob-e-fitrat hai.

Author : Allama Iqbal

Jab mai’n kahta hoo_n ke ya Allah mera haal dekh,

Hukam hota hai ke apna naama-e-amaal dekh

Author : Akbar Allahabadi

Yeh ghari mahshar ki hai, tu arsa-e-mahshar mei_n hai,

Pesh kar ghaafil amal koi agar daftar mei_n hai.

Author : Allama Iqbal

Yaqeen muhkam, amal paiham, mohabbat fatehe aalam,

Jahaad-e-zindagaani mei_n yeh hai_n mardo_n ki shamsheere_n

Author : Allam Iqbal

Amal se zindagi banti hai jannat bhi, jahannum bhi,

Yeh khaki apni fitrat se na noori hai, na naari hai.

Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on AMAL : 1191