donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
ASHK

غالؔب کی شوخیوں کو چرا لے گیا کوئی

بستر پہ میرے میرؔ کا دیوان رہ گیا

تحسین منور

Author : Tahseen Monawwar

band rehte hai_n jo alfaaz kitabo_n mei_n sada

gardish e vaqt mita deti hai pehchan unki

______________________aleena itrat rizvi

Author : Aleena Itrat Rizvi

Khamosh fiza thee kahee_n saya bhi nahee_n tha

Iss shahr mei_n hamsa koi tanha bhi nahee_n tha

Author : Kausar Samreen

Kya dekhta hai haath mera chhoD. de tabeeb

YaaN jaan hee badan meiN nahiN nabz kya chale

Author : Zauq

Kuche-kuche aarzoo ke shahr mei_n charcha raha

Mera zauq-e-justju bhi kis qadr ruswa raha

Author : Sadiya Shabnam

Jab baat pe aate hai guzar jaate hai_n ji se

Lekin kabhi izhar-e-tamanna nahi karte

Author : Jameela Bano

dushman ko khabar nahi keh kaya hai_n

yeah ashk yeah aah ki sapahai_n

Author : Obaidullah Aleem

Tanha-tanha dukh jhelen_ge, mehfil-mehfil gaaye_nge,

Jab-tak aansu saath rahe_nge, tab-tak geet sunaaye_nge.

Author : Nida Fazli

Umr-ke ain aakhri ayyaam mei_n seekha toh kya, 

Aansuo_n-ki dor-se toote-huye per jodna.

Author : Wazir Agha

Zindagi mei_n unka hissa kuchh nahi_n,

Apni nakaami pe jo hai_n ashkbaar.

Author : Manazir Ashiq Harganwi

Ab qahqaho_n mei_n aur-hi jalwe samaaye hai_n,

Ashko_n ki shab guzaar-ke hum muskuraye hai_n.

Author : Shahid Jameel

Fiza tabassum-e-subah bahaar thi, lekin,

Pahunch ke manzil-e-jaanaa_n pe aankh bhar aai.

Author : Firaq Gorakhpuri

Mai_n ne roka raat Ghalib ko, wagarna dekhte,

Us ke sail-e-girya se gardoo_n kaf-e-sailaab tha.

Author : Mirza Ghalib

Is pursish-e-karam pe tau aansoo nikal pare,

Kya tu wohi khaloos-e-saraapa hai aaj bhi.

Author : Firaq Gorakhpuri

Moti samajh ke shaan-e-kareemi ne chun lieye,

Qatre jo the mere ashk-e-infaal ke

Author : Allama Iqbal

Dil ke aksar fasana-haae jameel,

Aasoo-o_n mei_n sunaaey jaate hai_n.

Author : Ali Akhter

Yoo_nhi gar rota raha, Ghalib, tau ai ahl-e-jahaa_n,

Dekhna in bastio_n ke tum ke weeraa_n ho gaie_n.

Author : Mirza Ghalib

Naqsh-o-nigaar-e-ghazal mei_n jo tum yeh shaadaabi paao ho,

Hum ashko_n mei_n kaaenaat ke nok-e-qalam dabo le hai_n.

Author : Firaq Gorakhpuri

Bas ai Mir mizhgaa_n se poonchh aansoo-o_n ko,

Tu kab tak yeh moti parota rahega

Author : Mir Taqi Mir

Aankho_n mei_n kaun aa ke Ilahi nikal gaya,

Kis hi talaash mei_n mere ashke-rawaa_n chale.

Author : Jalil Manakpuri

Ashk aankho_n mei_n kab nahi_n aata,

Lahoo aata hai jab nahi_n aata.

Author : Mir Taqi Mir

Tapak, ai shama, aansoo ban ke parwaane ke aankho_n se,

Saraapa dard hoo_n, hasrat bhari hai daastaa_n meri.

Author : Allama Iqbal

Chupke chupke raat din aansoo bahaana yaad hai,

Hum ko ab tak aashiqi ka woh zamaana yaad hai.

Author : Hasrat

Ghalib hame_n na chher, ke phir josh-e-ashk Se,

Baithe hai_n hum tahaiya-e-toofaan kieye hue.

Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on ASHK : 1438