donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
AURAT

Hayaat-o-hurmat-o-mehar-o-wafa ki shaan hai aurat,

Shabaab-o-husn-o-andaaz-o-ada ki kaan hai aurat.

Author : Akhter Sheerani

Tu haath ko jab haath mei_n le leti hai,

Dukh dard zamaane ke mita deti hai.

Author : Firaq Gorakhpuri

Tiri is be-wafaai par fida hoti hai jaa_n apni,

Khuda jaane agar tujh mei_n wafa hoti tau kya hota.

Author : Bahadur Shah Zafar

Jaha_n mei_n karti hai shahi magar lashkar nahi rakhti,

Dilo_n ko karti hai zakhmi, magar khanjar nahi_n rakhti.

Author : Akhter Sheerani

Maa_n aur behn bhi, chaheti beti,

Ghar hi raani bhi aur jeevan saathi,

Phir bhi woh kaamni, saraasar devi,

Aur sej par woh beswa ras ki putli.

Author : Firaq Gorakhpuri

Uske jaisa nek aur uske jaisa bad nahi_n,

Us ki nafrat aur mohabbat, dono_n hi kuchh hadd nahi_n

Author : Josh

Wohi armaan-e-hasti hai, wohi eemaan-e-hasti hai,

Badan kah eye agar hasti ko, tau woh jaan-e-hasti hai.

Author : Akhter Sheerani

 
Total Visit on AURAT : 1461