donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
BAHAAR

 Guzregi phir bahaar isi raah se raqueeb!

 sookhi hui zameen pe kuchh ghaas rehne de

Author : Kalim Akhtar

Amaad-e-naubahar ki daavat-e-sarkhushi na de

Bad-e-naseem hi woh kya jo nayi taazgi na de

Author : Zakia Sultana

Khiza_n-ka naam hari pattiyo_n-pe likkha thaa,

Bahaar laut-ke aayee,toh hum bayaaba_n thay.

Author : Shahid Jameel

Khiza_n ke rang mai_n abhi bahar baqi hai,

Chirag-e-sahar hai par intzar baqi hai,

Humai_n salam karo ai hawadis-e-daura_n,

Tumhare sath hai_n phir bhi qarar baqi hai.

Author : Azra Adil Rashid

Na gul khile hai_n, na un se mile hai_n, na mai pi hai,

Ajeeb rang mei_n ab ke bahaar guzri hai.

Author : Faiz Ahmad Faiz

Roshan kahi_n bahaar ke imkaa_n hue tau hai_n,

Gulshan mei_n chaak chand garebaa_n hue tau hai_n.

Author : Faiz Ahmad Faiz

Aate aate yoo_nhi dam bhar ko ruki hogi bahaar,

Jaate jaate yoo_nhi dam bhar ko khizaa_n thahri hai.

Author : Faiz Ahmad Faiz

Ab ke bhi din bahaar ke yoo_nhi chale gaye,

Phir Phir ke gul aa chuke, pe sajan tum bhale gaye.

Author : Sauda

Bahaar saqi hai, bazm gulshan, hai_n mutribaan-e-chaman sharaabi,

Piaala gul, sarv-e-sabz sheesha, sharaab boo aur kali gulaabi.

Author : Siraj Aurangabadi

Josh-e-shabaab-o-tishna-e-sahba, hajoom-e-shauq,

Taabir yoo_n bhi karte hai_n fasl-e-bahaar ko.

Author : Sauda

Chaman tum se abaarat hai, bahaare_n tum se zinda hai_n,

Tumhaare saamne phoolo_n se murjhaaya nahi_n jaata.

Author : Makhmoor Dehlvi

Rang pairahan ka, khushboo zulf lahraane ka naam,

Mausim-e-gul hai tumhaare baam par aane ka naam.

Author : Faiz Ahmad Faiz

Fast -e-bahaar aai, peo soofio sharaab,

Bas ho chuki namaaz, masalla uthaaeye

Author : Aatish

Aamad bahaar ki hai jo bulbul hai naghma sanj,

Urti si ik khabar hai zabaani tayyoor ki.

Author : Mirza Ghalib

Weeraan hai mai hada, khum-o-saaghar udaas hai_n,

Tum kya gaye ke rooth gaye din bahaar ke.

Author : Faiz Ahmad Faiz

Hum ne ki hai tauba aur dhoomei_n machaati hai bahaar,

Haae bas chalta nahi_n kya muft jaati hai bahaar.

Author : Mazher Jan Jaana’n

Hilti nahin hawa se chaman mei_n yeh daaiiaa_n,

Munh choomte hai_n phool aroos-e-bahaar ka.

Author : Ameer Minai

Ghazab tha aaj gulshan mei_n yeh hasrat khez nazzara,

Idhar bulbul ka dam toota, udhar fast-e-bahaar aai.

Author : Akhter Sheerani

Jho_nka idhar na aae naseem-e-bahaar ka,

Nazuk bahut hai phool chirag-e-mazaar ka.

Author : Hafeez

Shaakho_n se barg-e-gul nahi_n jharte hai_n baagh mei_n,

Zevar utra raha hai aroos-e-bahaar ka.

Author : Ameer Minai

Masto_n pe ungliaa_n na uthaao bahaar mei_n,

Dekho tau hosh hai bhi kisi hoshiaar mei_n.

Author : Asgher Gondvi

Chalte ho tau chaman ko chalieye, kahte hai_n ke bahaaraa_n hai,

Paat hare hai_n, phool khile hai_n, kam kam baad-o-baaraa_n hai.

Author : Mir Taqi Mir

Weeraan hai maihada, khum-o-saaghar udaas hai_n,

Tum kya gaye ke rooth gaye din bahaar ke

Author : Faiz Ahmad Faiz

Bahaar-e-rafta meri phir na aai ai Jigar waapis,

Chaman mei_n har khizaa_n ke baad lekin ik bahaar aai.

Author : Jigar

Nargis-o-gul ki khili jati hai_n kalia_n, dekho, sab,

Phir unhi khwabeeda fitno_n ko jagaati hai bahaar

Author : Mazher Jan Jaana’n

Na gul khile hai_n, na un se mile hai_n, na mai pi hai,

Ajeeb rang mei_n ab ke bahaar guzri hai

Author : Faiz Ahmad Faiz

 
Total Visit on BAHAAR : 1401