donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
BOSA

Mujh pa jo tera qarz tha sara ada kia,

Bosa jo mera pas hai aa ke utar doo_n.

Author : Ali Shaida

Bosa lekar paagal kar-de, Kaat-kaat ke laali bhar-de,

Khoon rulaaye,khaaye thappad, Ai sakhee,saajan Naa sakhee, machchhar,

Author : Shahid Jameel

Lagaaya jaam-e-mai honto_n se usne, humko rashk aaya,

Ke bosa uske lab ka, ai Zafar, lete tau hum lete.

Author : Zafar

Bosa dete nahi_n aur dil pe hai har lahza nigah,

Ji mei_n kahte hai_n ke muft haath aae tau maal achha hai.

Author : Mirza Ghalib

Na maango bosa, ai Aatish, bigaare mu_nh woh baithe hai_n,

Qayamat hai agar bal abroo-e-khamdaar mei_n aae.

Author : Aatish

Ghuncha-e-na shagufta ko door se mat dikha ke yoo_n,

Bosa ko poochhta hoo_n mai_n, mu_nh se mujhe bata ke yoo_n.

Author : Mirza Ghalib

Suhbat mei_n ghair ki kahi_n pari na ho yeh khoo,

Dene laga hai bosa baghair ilteja kieye.

Author : Mirza Ghalib

Boli yeh andleeb ke baaqi na chhoreo,

Aise same mei_n khwaaish-e-bos-o-kinaar ko.

Author : Insha

Dikha ke jumbish-e-lab ki tamaam kar hum ko,

Na de bosa tau mu_nh se kahi_n jawaab tau de.

Author : Mirza Ghalib

Be ginti bose lei_nge rukh-e-dil-pasand ke,

Aashiq tire parhe nahi_n ilm-e-hisaab ko.

Author : Aatish

Kya khoob tum ne ghair ko bosa nahi_n diya,

Bas chup raho, hamaare bhi mu_nh mei_n zabaan hai.

Author : Mirza Ghalib

Bosa-e-rukhsaar par takraar rahne di jeye,

Li jeye, ya di jeye, inkaar rahne di jeye.

Author : Hafeez

Lal-e-khamosh apne dekho ho aarsi mei_n,

Phir poochhte ho hans kar mujh be nawa ki khwaahish.

Author : Mir Taqi Mir

Le tau loo-n sote mei_n uske paaon ka bosa, magar,

Aisi baato_n se woh kaafir bad-gumaa_n ho jaaega.

Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on BOSA : 1979