donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
GAREBAAN
Na lar naasih se Ghalib, kya hua gar us ne shiddat ki,
Hamara bhi tau aakhir zor chalta hai gareban par
Author : Mirza Ghalib

Haif us char girah kapre ki qismat, Ghalib,
Jiski qismat mei’n ho aashiq ka garebaa’n hona.
Author : Mirza Ghalib

Junoo’n ki dastgeeri kis se ho gar ho na uriaani,
Garebaa’n chaak ka haq ho gaya hai meri gardan par.
Author : Mirza Ghalib

Yoo’n pukaare hai’n mujhe koocha-e-jaanaa’n waale:
idhar aa be, abe, 0 chaak garebaa’n waale.
Author : Mir Taqi Mir

Sau baar tera daaman  mei’n mere aaya,
Jab aa’nkh khuli dekha, apna hi garebaa’n tha.
Author : Asgher Gondvi

Khuda sharmaaeye haatho’n ko ke rakhta hai’n kashakash mei’n,
Kabhi mere garebaa’n ko, kabhi jaanaa’n ke daaman ko.
Author : Mirza Ghalib

Un ne kheincha hai mere haath se daamaan apna, 
Kya karoo’n gar na karoo’n chaak garebaa’n apna.
Author : Mir Taqi Mir

 
Total Visit on GAREBAAN : 825