donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
HAYAA
	Zaroorat phir hai poshaak-e-hayaa kee
	hamara ahd nanga ho gaya hai
Author : Kalim Akhtar

Hayaa-se husn-ki qeemat dochand hoti hai,
Na ho jo aab toh moti-ki aabroo kya  hai?
Author : Jalil Manikpuri

Sharma-ke yu'n dekh adaa-ke maqaam se,
Ab baat badh-chuki hai hayaa-ke maqaam se.
Author : Sahir Ludhianvi

Jis marz mei’n ke jaan jaati hai, 
Dilbaro’n ki hi woh judaai hai.
Author : Mir Taqi Mir

Aa gaya jab wasal ki shab bhi kahin zikar-e-firaq,
Woh tira ro ro ke mujhko bhi rulaana yaad hai.
Author : Hasrat

Tum juda hoge tau ho jaaegi yeh raat pahaar, 
Raat ki raat thahr jaao ke kuchh raat kate.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Ik teri deed chhin gai mujh Se, 
Warna duniya mei’n kya nahi’n baaqi.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Turn mere paas hote ho, goya,
 Jab koi doosra nahi’n hota.
Author : Momin

Naa de name ko itna tool, Ghalib, mukhtesar likh de, 
Ke “hasrat sanj hoo’n arz-e-sitamhaae judaai ka.”
Author : Mirza Ghalib

Us bàzm mei’n banti nahi’n mujhko hayaa kieye,
Baitha raha agarche ishaare hua kieye.
Author : Mirza Ghalib

Ghair ho yaarab woh kyo’nkar manae-gustaakhi kare,
Gar hayaa bhi aati hai usko tau sharma jaae hai.
Author : Mirza Ghalib

Wali, us gohar-e-kaan-e-hayaa ki kya kahoo’n khoobi,
Mere ghar is tarah aata hai jeon seene mei’n raaz aawe. 
Author : Wali

Tamanna ao’nkho zinda, aarzoo-o’n ko jawaa’n kar loo’n,
Yeh sharmeeli nazar kah de tau kuchh gustaakhia’n kar loo’n.
Author : Akhter Sheerani

Shukr parde hi mei’n us but ko hayaa ne rakha,
Warna eemaan gaya tha, Khuda ne rakha.
Author : zauq

Shukr parde hi mei’n us but ko hayaa ne rakha,
Warna eemaan gaya tha, Khuda ne rakha.
Author : zauq

Barq ho abr ke daaman mei’n chhupa dekha hai,
Hum ne us shokh ko majboor-e-hayaa dekha hai.
Author : Hasrat

Kahte hue saqi se hayaa aati hai, warna,
Hai yoo’n ke mujhe durd-e-tah-e-jaam bahut hai.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on HAYAA : 811