donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
HUB-UL-WATNI
Shaheedo’n ki chitaao’n par lagenge har baras meley,
Watan par marne waalo’n ka yehi baaqi nishaa’n hoga.
Author : Anand Bakshi

Har rutt kayee rangon se banee hoti hai,
Har aankh mei'n heere ki kanee hoti hai,
Patthar bhi uchhaalo toh palat aata hai,
Kya cheez ye hubbul-watani hoti hai. 
Author : Shahid Jameel

Yaqee'n ki dil mei'n hararat rago'n mei'n joshe amal,
Riwayet ab wajd kaa thaa nigahbaan bhii woh,
Thaa darde qaum ka millat kaa thaa khayal use,
Watan ki aan bhii thaa,uska pasbaan bhi woh.
Author : Firoz Natiq Khusro

Yaad-e-watan na aae hame’n kyo’n watan se door,
Jati nahi’n boo-e-chaman kya chaman se door.
Author : Jauhar

Hai aaj yeh kya baat ke be-saakhta, 
Hasrat, aati hai rah rah ke azizaan-e-watan ki.
Author : Hasrat

Aghosh-e-mulayam mei’n sulaaya humko,
Khaamosh aawaaz se jagaaya humko,
Kuchch bhi banaae’n tere bigre hue kaam,
Ai khaak-e-watan tu ne banaaya humko
Author : Firaq Gorakhpuri

Maara dayaar-e-ghair mei’n mujhko watan se door, 
Rakh li mere Khuda ne meri be kasi ki sharm.
Author : Mirza Ghalib

Ahle-e-jauhar ko watan me’in rahne deta gar falak,
Laal kyo’n is rang se aata badakshaa’n chhor kar?
Author : zauq

Go bahut kuchh ranj yaaraan-e-watan se tha hame’n,
Aankh mei’n aansoo magar waqt-e-safar aa hi gaya.
Author : Akber Allahabadi

Paththar ki moorato’n mei’n samjha hai tu Khuda hai,
Khaak-e-watan ka mujhko har zarra devta hai.
Author : Allama Iqbal

Watan ki fikar kar naadaan, museebat aane waali hai,
Teri barbaadio’n ke mashware hai’n aasmaano’n mei’n.
Author : Allama Iqbal

Azizaan-e-watan ko ghuncha-o-barg-o-samar jaana,
Khuda ho baaghbaa’n, aur qaum ko hum ne shajar jaana.
Author : Chakbast

Sarfaroshi ki tamanna aaj hamaare dil mei’n hai, 
Dekhna hai zor kitna baazoo-e-qaatil mei’n hai.
Author : Ram Prasad Bismil

Saare jahaan se achha Hindustaaa hamaara, 
Hum bul bulei’n hai’n iski, yeh gulsitaa’n hamaara.
Author : Allama Iqbal

Na samjhoge tau mit jaaoge, ai Hindustaa’n waalo,
Tumhaari daastaa’n tak bhi na hogi, daastaano’n mei’n.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on HUB-UL-WATNI : 9961