donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
IBTEDA
Ibteda woh thi ke jeene ke lieye marta tha mai’n,
Inteha yeh hai ke marne ki bhi hasrat na rahi.
Author : Mahir-ul-Qadri

Aag the ibteda-e-ishq me’n hum,
Ho gaye khaak, intehaa hai yeh
Author : Hasrat

Ibteda hi mei’n mar gaye sab yaar,
Ishq ki kaun inteha laya!
Author : Mir Taqi Mir

Jab mai’n ne likhna seekha tha,
Pahle tera naam likha tha
Author : Nasir Kazmi

lbteda-e-ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekheye hota hai kya.
Author : Mir Taqi Mir

Suni hikaait-e-hasti tau darineaa’n se suni,
Na ibteda ki khabar, na inteha maloom.
Author : Shad Azeemabadi

Khirad mando’n se kya poochhoo’n ke meri ibteda kya hai, 
Ke mai’n is fikar me’n rahta hoo’n meri intehaa kya hai.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on IBTEDA : 990