donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
INQILAAB
lnqilaab aaya tau yoo’n aaya nigah-e-yaar mei’n, 
Kuchh ,murawwat mei’n izafa, kuchh mohabbat mei’n kami.
Author : Firaq Gorakhpuri

Haa’n, baghawat, maut, aandhi, aag, bijli mera naam,
Mere gird -o-pesh ajal, meri jilou mei’n qatal-e-aam!
Author : Josh

Zafar ahwaal aalam ka kabhi kuchh hai, kabhi kuchh hai,
Ke kya kya rang ab hai’n aur kya kya peshtar yaan the.
Author : Zafar

Yeh maujooda tareeqe raaheye mulk-e-adam honge, 
Nai tahzeeb hogi aur naye saamaan baham honge.
Author : Akber Allahabadi

Dekh raftaar-e-inqilaab, Firaq,
 Kitni aahista aur kitni tez.
Author : Firaq Gorakhpuri

Kaam hai mera taghayyur, naam hai mera shabaab, 
Mera naara: “lnqilaab-o-inqilaab -o-inqilaab.”
Author : Josh

Utho, chaunko, barho, munh haath dho, aankho’n ko mal daalo,
Hawaa-e-inqilaab aane ko hai, Hindustaan waalo.
Author : Firaq Gorakhpuri

 
Total Visit on INQILAAB : 773