donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
NAAZ-O-ADA
Mausam ko isharo'n se bula kyu'n nahi lete ,
Rootha hai agar wo to mana kyu'n nahi lete ,
Deewana tumhara koi ghair nahi hai,
Machla bhi to seene se laga 'nahi lete. 
Author : Zafar Gorakhpuri

Mile kisi se nazar tu samjho Ghazal hui, 
Rahe apani Khabar tu samjho Ghazal hui, 
Mila ke nazro'n ko wo haya se phir, 
Jhuka le koi nazar tu samjho Ghazal hui.
Author : Zafar Gorakhpuri

Sab hi andaaz-e-husn pearey hai’n,
Hum magar saadgi ke maare hai’n.
Author : Jigar

Naaz-o-andaaz-o-ada, ushwa-o-aghmaaz-o-haya,
Aab-o-gil mei’n tiri sab kuchh hai magar pyaar nahi’n.
Author : Mir Taqi Mir

Is saadgi pe kaun na mar jaae, ai Khuda,
Larte hai’n, aur haath mei’n talwaar bhi nahi’n.
Author : Mirza Ghalib

Aaeene mei’n har ada ko dekh kar kahte hai’n woh,
Aaj dekha chaaheye kis kis ki hai aai hui.
Author : Ameer Minai

Abhi sin hi kya hai jo be-baakiya’n ho’n,
Unhe’n aae’ngi shokhiaa’n aate aate.
Author : Dagh

Kya lutaf ke mai’n apna pata aap bataaoo’n,
Kijeye koi bhooli hui khas apni ada yaad.
Author : Jigar

Dishna-e-ghamza jaansitaa’n, naawak-e-naaz be panaah,
Tera hi aks-e-rukh sahi, saamne tere aae kyo’n.
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on NAAZ-O-ADA : 1045