donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
SHAMA

Shama ne aag rakhi sar pe qasam khaane ko
BaKhuda maiN ne jlaaya nahi parwaane ko
Pitay zaroor thay lekin makaan ke ander
Na jaane kaise khaber ho gayi zamaane ko

 

Author : Khalid Razvi

Rukh-e-roshan ke aage shama rakh kar woh yeh kahte hai’n,
Idhar aata hai, dekhe’n, ya udhar parwana jata hai.
Author : Dagh Dehlavi

Subah tak shama sar ko dhunti rahi,
Kya patange ne iltemaas kiya!
Author : Mir Taqi Mir

Kya patange ko shama roe, Mir,
Uski shab ko bhi tau hai sahar darpesh.
Author : Mir Taqi Mir

Kuchh na dekha phir ba-juz yak shola-e-pur pech-o-taab,
Shama tak tau hum ne bhi dekha ke parwana gaya.
Author : Mir Taqi Mir

Ai shama teri umr-e-tabiey hai ek raat,
Hans kar guzaar ya ise ro kar guzaar de.
Author : Zauq

Dagh-e-firaq-e-suhbat-e-shab ki jali hui,
Ik shama rah gai hai, woh bhi khamosh hai.
Author : Mirza Ghalib

Ghum-e-hasti ka, Asad, kis se ho juz marg ilaj,
Shama har rang mei’n jalti hai sahar hone tak.
Author : Mirza Ghalib

Guzashta ahd ki yaado’n ko phir karo taaza,
Bujhe chiragh jalaao, bahut andhera hai
Author : Firaq Gorakhpuri

In mei’n lahu jala ho hamara ke jaan-o-dil,
Mahfil me’n kuchh chiragh firozaa’n hue tau hai’n.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Tuk Mir-e-jigar-sokhta ki jald khabar le,
Kya yaar bharosa hai chiragh-e-sahri ka.
Author : Mir Taqi Mir

Shama bujhti hai, tau us mei’n se dhuan uth-ta hai,
Shola-e-ishq seah posh hua mere baad.
Author : Mirza Ghalib

Shama roo aap ho gaye lekin,
Lutaf-e-soz-o-gudaaz kya jaane’n.
Author : Dagh Dehlavi

Ho shama-e-bazm-e-aish, ke shama-e-mazaar tu,
Har haal ashk-e-ghum se rahi hum kinaar tu.
Author : Allama Iqbal

 
Total Visit on SHAMA : 2870