donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
SHARAAB
Log chulloo se pee rahe hain sharaab
baada khaana hai kiya suboo pamaal!
Author : Kalim Akhtar

Kaun rangeen hai, nazar ki sharaab?
haath mein jam uthake dekh liya
Author : Kalim Akhtar

Shab-e-firaaq guzari hai humne barson baras
ai saaqi-e-gham-e-dil! aa, sharaab likhne aa
Author : Kalim Akhtar

Sharaab aankho'n se dhal rahi hai, 
nazar se masti ubal rahi hai,
Chhalak rahi hai,uchhal rahi,      
piye huyu hai'n ,pilaa rahe hai'n.
Author : Jigar Muradabadi

Hame'n toh ai 'Jameel' apni zaat-hi
nigal gayee,
Wo aur thay jo saaqi-o-sharaab mei'n
magan rahe.
Author : Shahid Jameel

Nigah-e-saqi se paiham chalak rahi hai sharab,
pio ki pine-pilane ki rat ai hai, 
Author : FAIZ RATLAMI

Mai nazar se pii raha hoo'n ye sama badal na jaye, 
na jhukaao tum nigahai'n kahi'n raat Dhal na jaye, 
mere ashk bhi hai'n is mai'n ye sharab ubal na jaye, 
mera jaam choonewale tera hath jal na jaye. 
Author : Anwer Mirzapuri

mai mai'n koi Khami hai na sagar mai'n koi khot,
pina nahi'n aye hai to chalkaye chalo ho.
Author : Kalim Aajiz

Maikada Tha, Chandani Thi, Mai’n Na Tha, 
ik mujassam bekhudi thi mai’n na tha ,
ishq jab dam torata tha tum na the 
maut jab sar dhun rahi thi mai’n na tha 
Author : Abdul Hamid Aadam

Lutaf-e-mai tujh se kya kahu’n, zahid,
Haae kambakht tu ne pi hi nahi’n.
Author : Dagh

Nikal kar der-o-kaaba se agar milta na maikhana,
Tau thukraaey hue insaa’n, Khuda jaane, kahaa’n jaate.
Author : Qateel Shifaee

Hame’n saghar-o-bada ke dene mei’n ab, kare der jo saqi, 
tau haae ghazab!
Ke yeh ahd-e-nishat, yeh daur-e-tarab, rahega jaha’n mei’n
sada na raha.
Author : Bahadur Shah Zafar

Kabhi khush bhi kiya hai dil kisi rind -e-sharaabi ka,
Bhira de munh se munh, Saqi, hamaara aur gulaabi ka.
Author : Dard

Saqia, yaa’n lag raha hai chal chalaao,
Jab talak bas chal sake, saaghar chale.
Author : Dard

Yeh shokh fiza, yeh taaza chaman, yeh mast ghata, yeh sard hawa,
Kaafir hai agar is waqt bhi koi rukh na kare maikhaano’n ka.
Author : Josh

Phir dekhieye andaaz-e-gulafshaani-e-guftaar,
Rakh de koi paimaana-e-sahba mire aage.
Author : Mirza Ghalib

Phir dekhieye andaaz-e-gulafshaani-e-guftaar,
Rakh de koi paimaana-e-sahba mire aage.
Author : Mirza Ghalib

Poochhieye maikasho’n se lutaf-e-sharaab,
Yeh maza paakbaaz kya jaane’n.
Author : Dagh

Poochhieye maikasho’n se lutaf-e-sharaab,
Yeh maza paakbaaz kya jaane’n.
Author : Dagh

Toba toba! Sheikh ji,toba ka phir kisko khayaal,
Jab woh khud kah de ke pi, thori si pi, mere lieye.
Author : Hafeez

Jigar ki aag bujhe jald jis mei’n woh shai la,
Laga ke barf mei’n Saqi, suraahi-e-mai la.
Author : Insha

Kuchh muhtsibo’n ki khilwat mei’n, kuchh waaiz ke ghar jaati hai,
Hum bada kasho’n ke hisse ki ab jam mei’n kam kam aati hai.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Waaiz saboot laae jo mai ke jawaaz mei’n,
Iqbal ko yeh zid hai ke peena bhi chhor de.
Author : Allama Iqbal

Waaiz saboot laae jo mai ke jawaaz mei’n,
Iqbal ko yeh zid hai ke peena bhi chhor de.
Author : Allama Iqbal

Waaiz saboot laae jo mai ke jawaaz mei’n,
Iqbal ko yeh zid hai ke peena bhi chhor de.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Sharab aaj too saqi na rakh chupaye hue
Ke door door se hai baada khawar aaye hue
Author : Kalim Aajiz

Hai hawa mei’n sharaab ki taaseer,
Bada noshi hai baad paimaai.
Author : Mirza Ghalib

Lapila, Saqi, sharaab-e-arghawaani phir kahaa’n,
Zindagaani phir kahaa’n, nadaan jawaani phir kahaa’n.
Author : Akhter Sheerani

Is mahfil-e-kaif-o-masti mei’n, is anjuman-e-irfaani mei’n,
Sab jaam ba-kaf baithe hi rahe, hum pi bhi gaye, chhalka
Bhi gaye
Author : Majaz

Yeh shokh fiza, yeh taaza chaman, yeh mast ghata, yeh sard hawa,
Kaafir hai agar is waqt bhi koi rukh na kare maikhaano’n ka.
Author : Josh

Muhtesib ki khair ho, ooncha hai usi ke faiz se,
Rind ka, saqi ka, mai ka, khum ka, paimaane ka naam.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Phir dekhieye andaaz-e-gulafshaani-e-guftaar,
Rakh de koi paimaana-e-sahba mire aage.
Author : Mirza Ghalib

Har chand ho mushahda-e-haq ki guftagoo,
Banti nahi’n hai bada-o-saaghar kahe baghair
Author : Mirza Ghalib

Mai’n maikade ki rah se ho kar guzar gaya,
Warna rah-e-hayat bahut hi taweel thi.
Author : Adam

Kyo’n radd-e-qadah kare hai, zahid,
Mai hai, magas ki qai nai’n hai.
Author : Mirza Ghalib

Muhtesib ki khair ho, ooncha hai usi ke faiz se,
Rind ka, saqi ka, mai ka, khum ka, paimaane ka naam.
Author : Faiz Ahmad Faiz

Raat pi zam zam pe mai, aur subah dam,
Dhoey dhabbe jama-e-ahraam ke.
Author : Mirza Ghalib

Kuchh muhtesib ka khauf kuchh sheikh ka lihaaz,
Peeta hoo’n chhip ke daaman-e-abr-bahaar mei’n.
Author : Hafeez

Waaiz na khud peo, na kisi ko pila sako, 
Kya baat hai tumhari sharaab-e-tahoor ki.
Author : Mirza Ghalib

Kyo’nkar na lutaf badakashi ka ho aab mei’n,
 Baarish mei’n jo haroof hai’n, woh hai’n sharaab mei’n.
Author : Unknown

Pila de ok se saqi, Jo mujh se nafrat hai,
 Payala gar nahi’n deta, na de, sharaab tau de.
Author : Mirza Ghalib

Mai’n tau Jab maanoon ke bhar de saghar-e-har khaas-o-aam, 
Yoo’n tau Jo aaya, wohi peer-e-mughaa’n banta gaya.
Author : Majrooh Sultanpuri

Yaaro mujhe, mujhe maaf rakho, mai_n nashe mei_n hoo_n,

Ab do tau jaam khali hi do, mai_n nashe mei_n hoo_n.

Author : Mir Taqi Mir

Toote teri nigah se agar dil habab ka,
 Paani bhi phir peeai’n tau maza hai sharaab ka.
Author : Sauda

Mir, un neem-baaz aankho’n mei’n, 
Saari masti sharaab ki si hai.
Author : Mir Taqi Mir

Mai se garz nishat hai kis roo-seah ko, 
Ik gona bekhudi mujhe din rant chaahieye.
Author : Mirza Ghalib

Aaey the hanste khelte maikhaane mei’n, Firaq,
 Jab pi chuke sharaab tau sanjeeda ho gaye.
Author : Firaq Gorakhpuri

Yeh maikhana hai, bazm-e-jam nahi’n hai,
 Yaha’n koi kisi se kam nahi’n hai.
Author : Jigar

Woh cheez jis ke lieye hum ko ho bahisht aziz,
Siwaae baada-e-gulfaam-e-mushkboo kya hai.
Author : Mirza Ghalib

Mai’n aur bazm-e-mai se yoo’n tishna kaam aaoo’n,
Gar mai’n ne ki thi tauba, saqi ho Kya hua tha.
Author : Mirza Ghalib

Kal ke lieye kar aaj na khissat sharaab mei’n, 
Yeh soo-e-zan hai saqi-e-kausar ke baab mai’n.
Author : Mirza Ghalib

Mila ke qatra-e-shabnam mei’n rang-o-nikhat-e-gul, 
Koi sharaab banaao, bahaar ke din hai’n.
Author : Akhter Ansari

Tu ne qasam mai kashi ki khaai hai, Ghalib, 
Teri qasam ka kuchh aitbaar nahi’n hai.
Author : Mirza Ghalib

Guzri madaam uski jawanaan-e-mast mei’n, 
Peer-e-mugha’n bhi turfa koi pir mard tha.
Author : Mir Taqi Mir

Rind Jo zarf utha lei’n wohi kooza ban jaae,
Jis jagah baith ke pi lei’n wohi maikhaana bane.
Author : Asgher Gondvi

Jab maikada chhuta tau phir kya ho jagah ki qaid,
Masjid ho, madarsa ho, ya koi khanqah ho.
Author : Mirza Ghalib

Jaan kar manjumla-e-khaasaan-e-maikhaana mujhe,
Muddato’n roya kare’nge jaam-o-paimana mujhe.
Author : Jigar

Tor baithe ja ke hum jaam-o-saboo, phir humko kya,

Aasmaa_n se baada-e-gulfaam gar barsa kare.

Author : Mirza Ghalib

Pahunchi yahaa’n bhi sheikh-o-brahaman ki guftagoo,
Ab maikadah bhi sair ke qaabil nahi’n.
Author : Unknown

Sarf-e-bahaa-e-mai hue aalaat-e-maikashi,
 The yeh hi do hisaab, so yoo’n paak ho gaye.
Author : Mirza Ghalib

Dil-e-pur-khoo’n ki ik gulabi Se, 
Hum rahe umr bhar sharaabi se.
Author : Mir Taqi Mir

Giriya-e-shab se surkh hai’n aankhe’n, 
Mujh bala nosh ko sharaab kahaan?
Author : Mir Taqi Mir

Ai Zauq! dekh, dukhtar-e-raz ko na munh laga, 
Chhut-ti nahi’n hai munh se yeh kaafir lagi hui.
Author : zauq

Agle waqto’n ke hai’n yeh log, inhe’n kuchh na kaho,
Mai-o-naghma ko Jo andoh-e-ruba kahte hai’n.
Author : Mirza Ghalib

Sharab aaj too saqi na rakh chupaye hue
Ke door door se hai baada khawar aaye hue
Author : Kalim Aajiz

 
Total Visit on SHARAAB : 3104