donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
WASL

 Wajd mei_n gin raha hoo_n naqsh-e-firaaq

 wasl kee daalio_n pe kushboo se

Author : Kalim Akhtar

 Aap se dil lagake dekh liya

 umr bhar roke, gaake dekh liya

Author : Kalim Akhtar

Wafa Ki Raah Mei_n,Mai_n Aaj bhi Akaila Hoo_n

Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena

Author : Shani Ahmad

Firaq se bhi gaye hum wisal se bhi gaye ,

Sobuk huye hai_n to aish-e-malal se bhi gaye

Author : Aziz Hamid Madni

Kabhi jo yoo_n bhi milo tum tau meharbani hai,

Garz woh wasal ka waada tau dar kinaar raha.

Author : Firaq Gorakhpuri

Mai_n aur hazz-e-wasl, khuda saaz baat hai,

Jaa_n nazar deni bhool gaya iteraab mei_n.

Author : Mirza Ghalib

Kabhi jo yoo_n bhi milo tum tau meharbaani hai,

Garz woh wasal ka waada tau dar kinaar raha.

Author : Firaq Gorakhpuri

Yeh na thi hamari qismat ke wisaal-e-yaar hota,

Agar aur jeete rahte yehi intezaar hota

Author : Mirza Ghalib

Wasl uska khuda naseeb kare, Mir,

ji chaahta hai kya kya kuchh!

Author : Mir Taqi Mir

Mere ji mei_n hai Ghalib, zauq-e-wasl-o-shikwa-e-hijra_n,

Khuda woh din kare ke us se mei_n yeh bhi kahu_n woh bhi.

Author : Mirza Ghalib

Zara wisaal ke baad aaeina tau dekh, ai dost,

Tire jamaal ki dosheezgi nikhar aai.

Author : Firaq Gorakhpuri

Wasl-o-hijra_n, yeh Jo do manzile_n hai_n ishq ki,

Dil gharib in mei_n khuda jaane kaha_n maara gaya.

Author : Mir Taqi Mir

Nai muzhda-e-wisaal, na nazzara-e-jamaal,

Muddat hui ke aashti-e-chashm-o-gosh hai.

Author : Mirza Ghalib

Yaar sè chher chali jaae, Asad,

Gar nahi_n wasl tau hasrat hi sahi.

Author : Mirza Ghalib

Phir baithe baithe waada-e-wasl us ne kar liya,

Phir uth khara hua wohi rog intezaar ka.

Author : Ameer Minai

Wasl ki shab thi tau kis darja subak guzri thi,

Hijar ki shab hai tau kya sakht giraa_n thahri hai.

Author : Faiz Ahmad Faiz

Wasal ki banti hai_n in baato_n se tadbeere_n kahi_n,

Aarzoo-o_n se phira karti hai_n taqdeere_n kahi_n.

Author : Hasrat Mohani

Sad afsos, jaati rahi wasl ki shab,

Zara thahar, ai be wafa, kahte kahte.

Author : Momin

Shab-e-wasl zid mei_n basar ho gai,

Nahi_n karte karte sahr ho gai.

Author : Dagh

Khush hote ha_m par wasl mei_n yoo_n mar nahi_n jaate,

Aai shab-e-hijra_n ki tamanna mire aage

Author : Mirza Ghalib

Wasl ka din aur itna mukhtesar,

Din gine Jaate the jis din ke lieye.

Author : Ameer Minai

Mera Aae tau yoo_n ke jaise hamesha the meharbaa_n,

Bhoole tau yoo_n ke goya kabhi ashna na the.

Author : Faiz Ahmad Faiz

Wisaal tera, khyaal tera, Jo ho tau kyo_nkar, na ho tau kyo_nkar,

Na tujh pe kuchh ikhtiar mera, na dil pe kuchh ikhtiaar mera.

Author : Fani

Wasl-e-madaam se bhi hamari bujhi na pyaas,

Doobe hum aab-e-khizar me_in aur neem jaa_n rahe.

Author : Hali

Wasl mei_n khali hui aghiaar se mahfil tau kya,

Sharam bhi jaae tau mai_n jaanu_n ke tanhaai hui.

Author : Ameer Minai

 
Total Visit on WASL : 1758