donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Umr safar me.n guzri lekin shauq e siyahat baqi hai *

Umr safar me.n guzri lekin shauq e siyahat baqi hai

Koi Musafat khatm hui hai , koi musafat baqi hai

Aise bahot se raste hai.n jo roz pukara karte hai.n

Kai manazil sar karne ki ab tak chahat baqi hai

Eik sitara hath padaR kar door kahi.n le jata hai

Roz khala me.n kho jane aaj bhi aadat baqi hai

Chashm e baseerat kuchh to bata de kb wo lamhe aayenge

Jin ki khatir in aankho.n me.n itni basarat baqi hai

Khatm kahani ho jati to neend mujhe bhi aa jati

koi fasana bhool gaya hu.n, koi hikayat baqi hai

Duniya ke gham fursat de.n to dil ke taqaze poore ho.n

Koocha e jana.N  teri bhi to sair o siyahat baqi hai

Shahre Tamanna! baaz aaya mai.n tere naaz uthane se

Eik shikayat door karoo.n to eik shikayat baqi hai

Eik zara si umr me.n Aalam kaha.n kaha.n ki sair karoo.n

Jane mere hisse me.n ab kitni mohlat baqi hai

**************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 423