donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MIYA.N SAARE ZAMANE SE TUMHE YU.N HI SHIKAYET HAI, *

MIYA.N  SAARE ZAMANE SE TUMHE YU.N HI SHIKAYET HAI,

MOHABBAT KARKE TO DEKHO  ZAMANE MEI.N MOHABBAT HAI,

YEH KAISA SHORE GIRYA HAI YEH KAISI MARSIYA KHWAANI,

ABHI FANKAAR ZINDA HAI, ABHI INSAA.N SALAMAT HAI,

BAZAHIR JO BHI BADLA HO YEH BAATIN KUCHH NAHI BADLA,

WAHI HAI AADMI ABTAK, WAHI US KI JIBLAT HAI,

ISI SARIF ZAMANE MEI.N WAHI DIL KI DUKAANE.N HAI.N,

WAHI SAUDE JANOO.N KE HAI.N, WAHI RANGE TEJARAT HAI,

WAHI AASHUFTAGI KA RAQS JAARI HAI HAR IK JAANIB,

WAHI AHLE JANOO.N HAI.N AUR WAHI SAUDAAYE WAHSHAT HAI,

JIDHAR CHAAHO CHAL JAAYO  WAHI RASTE ABHI TAK HAI.N,

WAHI BASTI HAWSA KI HAI, WAHI SHAHRE QANAAYAT HAI,

BADAL KAR ZAAVIYA TUM NE KABHI DEKHA NAHI.N AALAM,

YEH DUNIYA AAJ PAHLE SE ZEYADA JHOOB SOORAT HAI.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 333