donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* JHEEL KI GAHRI KHAMOSHI PHAILI HUI HAI, *

MERE SAAMNE,

JHEEL KI GAHRI KHAMOSHI PHAILI HUI HAI,

BAHUT DOOR TAK NIILE PANI MEI.N,

KOI BHI HALCHAL NAHI HAI,

HAWA JAANE KIS DASHT MEI.N KHO GAYII HAI,

HAR SHAJAR SAR JHUKAYE HUE CHUP KHARHA HAI,

PARINDA KISI SHAAKHE GUL PER,

NA NAGHMA SARA HAI,

NA PATTE KISI SHAAKH PER JHOOMTE HAI.N,

HAR IK SIMT KHAMOSHIYO.N KA AJAB SA SAMAA.N HAI,

MERE SHAHAR MEI.N AISA MANZAR KAHA.N HAI

CHALOO.N,

AISE KHAAMOSH MANZAR KI TASWEER HI

KAINVAS PER UBHAAROO.N,

ABHI TO FAQAT ZEHAN MEI.N IK HEOLA BANA THAA,

KE MANZAR ACHAANAK BADAL SA GAYA HAI,

KISI PERH KI SHAAKH SE

KOI PHAL TOOT KAR JHEEL MEI.N GIR PARHA HAI,

BAHUT DOOR TAK

PAANIYO.N MEI.N KHALBALI SI MACHI HAI,

HAR IK MAUJ BIPHRI PARHI HAI....!!!!

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 367