donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* UMR SAFAR MEI.N GUZRI LEKIN SHAUQE SEYAHAT BAQI HAI, *

UMR SAFAR MEI.N GUZRI LEKIN SHAUQE SEYAHAT BAQI HAI,

KOI MUSAFAT KHATM HUI HAI, KOI MUSAFAT BAQI HAI,

AISE BAHUT SE RASTE HAI.N JO ROZ PUKARA KARTE HAI.N,

KAI MANAZIL SAR KARNE KI AB TAK CHAHAT BAQI HAI,

AIK SITARA HAATH PAKARH KAR DOOR KAHI LE JATA HAI,

ROZ KHOLA MEI.N KHO JANE KI AAJ BHI AADAT BAQI HAI,

CHASHME BASIRAT! KUCHCH TO BATA DE KAB WOH SA.AT AAYEGI,

JISKI KHATIR IN AA.NKHO.N MEI.N ITNI BASARAT BAQI HAI,

KHATAM KAHANI HO JATI TO NEEND MUJHE BHI AA JATI,

KOI FASANA BHOOL GAYA HOO.N KOI HEKAYET BAQI HAI,

SHARE TAMANNA! BAAZ AAYA MAI.N TERE NAAZ UTHANE SE,

AIK SHIKAYET DOOR KAROO.N TO AIK SHIKAYET BAQI HAI,

AIK ZARA SI UMR MEI.N AALAM KAHA.N KAHA.N KI SAIR KAROO.N,

JAANE MERE HISSE MEI.N AB KITNI MUHLAT BAQI HAI.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368