donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KIYO.N KHAYAL AATA NAHI HAI HAME.N YAKJAYI KA, *

KIYO.N KHAYAL AATA NAHI HAI HAME.N YAKJAYI KA,

JAB HAR IK SHAKHS GIRIFTAR HAI TANHAYI KA,

WOH BHI AB HONE LAGE EZA RASANI KE MARIZ,

JIN KO DAWA THA ZAMANE KI MASIHAYEE KA,

SHAK NAHI KARTA MAI.N RISHTO.N KI SADAQAT PE KABHI,

BAS YEHI AIK SABAB HAI MERI PASPAYEE KA,

ZAKHM BHARTE HI NAHI MERE KISI MARHAM SE,

JAB BHI LAGTA HAI KOI TEER SHANA SAI KA,

BUZDILI SAMJHI GAYI MERI SHARAFAT WARNA,

KAB MUJHE SHAUQ RAHA MA.ARKA AARAYI KA,

APNI RUSWAYEE KO EZAAZ SAMAJH LETA HAI.N,

KHOOB YEH SHAUQ HAI AHBAAB KI DAANAYEE KA,

KOI DAR WA NA HUA QASRE ADAB KA AALAM,

PHIR BHI SEEKHA NA HUNAR HAMNE JABEE.N SAAYI KA.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 341