donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye tamaasha dekh kar ham aaina-bezaar hai.N, *

Ye tamaasha dekh kar ham aaina-bezaar hai.N,

jinke chehre hii nahii.N vo aaina-bardaar hai.N,

shamaa roshan kar rahe hai.N taajiraa.n-e-tiirgi,

kyaa anokhii daastaa.N hai, kyaa ajab kirdaar hai.N,

Ai merii jamhuuriyat! terii kahaanii hai ajiib,

qaail-e-nafrat hai.N jo, vo saahab-e-dastaar hai.N,

muddato.N se so rahe hai.N ham hisaar-e-zaat me.N,

aur ye da.ava bhii hai bedaar the, bedaar hai.N,

aap Aalam paidalo.N kii chaal se ghabraa gaye,

asp, kishtii, fiil, farzii.N, sab pas-e-diivaar hai.N.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 353