donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Uthayy sung kharhe hai.n sabhi samar ke liye, *

Uthayy sung kharhe hai.n sabhi samar ke liye,

Duaye khair bhi maange koi shajar ke liye,

Hamesha gher ke andhera darane lagta hai,

Mai.n jab chiragh jalata hoo.n rah guzar ke liye,

Khayal aata hai manzil ke paas aate hi,

Kih koch kerna ek dosre safer ke liye,

Waha.n bhi ahle nazar sar jhukaye baithei.n hai.n,

Jaha'n maqaam nahi'n ek zara hunar ke liye,

Qataar bandhe hue tak taki lagaye hue,

Kharhe hai.n aaj bhi kuchh log ek nazar ke liye,

Tamam raat kaha.n yo.n bhi neend aati hai,

Mujhe to sona hai ek khwab-e-mukhtasar ke liye,

Kisi ke aage pasheman hum nahi.n Aalam,

Hamei.n qabool hai rusvayee umar bhar ke liye.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326