Siyahiyo.n ko nigalta hua nazar aaya,
Koi chiragh to jalta hua nazar aaya,
Dukho.n ne rabte mazboot kar diye aapne,
Tamam shaher bdalta hua nazar aaya,
Yeh payas mujh ko zamei.n bos kerne wali thi,
Kih aik chashmah ubalta hua nazar aaya,
Woh mere saath bhala kitni door jayega,
Jo her qadam pe sanbhlta hua nazar aaya,
Nai hawa se safar ab kaha.n ki shaher mera,
Nai mizaj mei.n dhalta hua nazar aaya,
Tawaqquat hi uThne lage zamane ke,
Jo eik shakhs badalta hua nazar aaya,
Shikast de ke mujhe khush tha bahut Aalam,
Magar woh Haath bbhi milta hua nazar aaya.