donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab tak khuli na thi asrar lag rahi thi, *

Jab tak khuli na thi asrar lag rahi thi,

Ye zindagi mujhe bhi dushwar lag rahi thi,

Mujh par jhuki hu-ee thi phulo.n ki aik dali,

Lekin vo mere sar par talwar lag rahi thi,

Chhute hi jane kaise qadmo.n me.n aa giri woh,

Jo fasle se oonchi diwar lag rahi thi,

Shahro.n me aake kaise aahista rau huaa mai.n,

Sehra mei.n tez apni raftar lag rahi thi,

Lahro.n ke jaagne par kuchh bhi na kaam aa-ee,

Kya chiiz thi jo mujh ko patwaar lag rahi thi,

Ab kitni kaar aamad jangal mei.n lag rahi hai,

Vo raushni jo ghar mei.n bekaar lag rahi thi,

TooTa huaa shayad voh bhi hamare jaisa,

Aawaz uski jaise jhankar lag rahi thi,

Aalam ghazal mei.n dhal kar kya khoob lag rahi hai,

Jo Tiis mere dil ka aazaar lag rahi thi.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337