donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ab chhat pe koee chaand tahalta hi nahi hai, *

Ab chhat pe koee chaand tahalta hi nahi hai,

Dil mera magar pahloo badalta hi nahi hai,

Kab se mai.n yaha.n baitha hoo.n ek dhoni ramaae,

But hai ke shawale se nikalta hi nahi hai,

Sone ki jagah roz badalta hoo.n mai.n lekin,

Ek khwab kisi tarah badalta hi nahi hai,

Khilwat ho ke jalwat ho mujhe lagte hai.n yaksaa.n,

Ji mera kahi.n bhi to bahalta hi nahi hai,

Phir phoot gaya sota koee mere jabi.n se,

Patthar se magar chashma ubalta hi nahi hai,

Rakhta hoo.n kaha.n raaz koee dil me chhupa kar,

Ye bojh kabhi mujh se sanbhalta hi nahi hai,

Hangama mujhe karna nahi aata hai lekin,

Ek tir mere dil se nikalta hi nahi hai,

Kya khot hai is daur ke bazaar me Aalam,

Kiyo.n sikka khara koee chalta hi nahi hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363