donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kise ham apni kahani sunaye jate hai.n, *

Kise ham apni kahani sunaye jate hai.n,

Mahakte phool nadi me bahaye jate hai.n,

Hame pahunchna nahi jab kisi kinare par,

To kiyo.n hamesha safine banaye jate hai.n,

Chamak rahi hai koee shai hamari mutthi me.n,

Na jane kiya ham use chhupaye jate hai.n,

Dayare shab me ujala bahut zaruri hai,

Kahi.n chiragh kahi.n dil jalaye jate hai.n,

Hame na dekhna aaya to kiya khata unki,

Hatheli par voh sitare dekhayee jate hai.n,

Gharo’n me’n chaand sitare saja liye hamne,

To kiyo.n dilo.n me andhere samaye jate hai.n,

Khandar me.n ab koyii parchhayi.n nahi.n rahti,

Ye saaye kis ke taaqub me.n aaye jate hai.n,

Hami.n banaeinge soorat koyee nayee Aalam,

Abhi to aab pe naqshe banaye jate hai.n.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348