Darwaze pe dastak dete dar lagta hai ,
Sahma sahma ab mera ghar lagta hai ,
Sazish hoti rahti hai diwaaro dar me ,
Ghar se achhaa ab mujh ko bahar lagta hai ,
Jhuk kar chalne ki aadat par jaaye shayad ,
Sar jo uthaauo.n darwaze me.n sar lagta hai ,
Kiyo.n har baar nishana mai.n hi ban jata hoo.n ,
Kiyo’n har patthar mere hi sar par lagta hai ,
Zikr karu.n kya uske zulmo.n tashaddud ka mai.n ,
Phool bhi jiske hantho.n me patthar lagta hai ,
Laut ke aaya hoo.n mai.n tapte sehraao.n se,
Shabnam ka qatra mujh ko saagar lagta hai ,
Thik nahi hai itna achha ban jana bhi ,
Jisko dekhoo.n vo mujh se behtar lagta hai ,
Ek muddat par Aalam bagh me aaya hoo.n mai.n,
Badla badla sa har ik manzar lagta hai .