Kabhi kabhi kitna nuqsaan uthana parhta hai ,
Airo.n ghairo.n ka ehsan uthana parhta hai,
Terhe merhe rasto.n par bhi khwabo.n ka pashtarah ,
Teri khatir meri jaan uthana parhta hai ,
Kab sunta hai nalae koyee shor sharabe me.n ,
Majboori me.n bhi toofaan uthana parhta hai ,
Kaisi hawae.n chalne lagi hai.n mere bagho.n me ,
Phoolo.n ko bhi ab saaman uthana parhta hai ,
Guldaste ki khwahish rakhne walo.n ko aksar ,
Koyee khaar bhara guldaan uthana parhta hai ,
Ya.n koyee tafariiq nahi hai shaho gada sab ko ,
Apna bojh dile naadan uthaana parhta hai ,
Yu.n mayuus nahi hote hai.n koyee na koyee gham ,
Achhe achho.n ko har aan uthana parhta hai ,
Makkaro.n ki is duniya me.n kabhi kabhi Aalam ,
Achhe logo.n ko buhtaan uthana parhta hai .