Kaha.n jae.n kahi.n aisa koee aalam nahi hota,
Jaha.n maqtal nahi hote jaha.n matam nahi hota,
Ye duniya bhi to jannat ki koee tasveer ho jati,
Agar hirso hawas me.n mubtala aadam nahi hota,
Falak par aashiya.n tamir karna chahte hai.n ham,
Zami.n taa raj karne ka hame kuchh gham nahi hota,
Hamare zakhm kari ka madawa roz hota hai,
Magar hikmat garo.n ke haath me.n marham nahi hota ,
Meri jamhuriyat me.n kuchh kami si rah gaee warna,
Kabhi khuddam ke dar se koee sar kham nahi hota,
Hame wazeh nazar aati hai ab anjam ki soorat,
Hamare ghar me koee faisla baham nahi hota,
Doaa karta hoo.n ab suraj sawa neze pe aa jaye ,
Chiragho.n ko jalane se andhera kam nahi hota.