donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabhi mai.n zikr karoo.n din ki shadmani ka, *

Kabhi mai.n zikr karoo.n din ki shadmani ka,

Fasana khatm to ho shab ki sar girani ka,

Mai.n thak gaya hoo.n magar pao.n chalte jate hai.n ,

Tamam hota nahi silsila rawani ka,

Simat ke aagya qadmo.n me kis tarh sehra,

Suna tha shor bahut uski bekarani ka,

Ajab nahi ke naye raaste nikal aaye.n,

Kisi ne raasta roka hai bahte pani ka,

Mujhe yaqi.n hai meri simt aayega dariya,

Magar jawaz nahi meri khush gumani ka ,

Tamam ahle zaba.n batilo.n ke haq me hai.n ,

Mujhe malal hai kiyo.n apni bezabani ka ,

Khuda samajhta hai khud ko yaha.n jo aata hai ,

Ajiib hal hai Aalam sara-e fani ka .

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 357