donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jama hua hai falak pe kitna ghubar mera *

Jama hua hai falak pe kitna ghubar mera ,

Jo mujh pe hota nahi hai raz aashkar mera ,

Tamam duniya simat na jaye meri hado.n me.n ,

Ke had se barhne laga hai ab inteshar mera ,

Dhuwa.n sa uthta hai kis jagah se mai.n janta hoo.n ,

Jalata rahta hai mujh ko har pal sharaar mera ,

Badal rahe hai.n sabhi sitare madar apna ,

Mere janoo.n pe tika hai daro madar mera ,

Kisi ke raste pe kaise nazre.n jamaaye rakkhoo.n ,

Abhi to karna mujhe hai khud intezar mera,

Teri ita-at qubool kar loo.n bhala mai.n kaise ,

Ke mujh pe chalta nahi hai khud ikhtiyar mera ,

Bas ek pal me kisi samundar me ja girunga ,

Abhi sitaro.n me.n ho raha hai shumar mera.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 367