donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wasael sab mayassar hai.n to har shai ki kami ka kya sabab aakhir, *

Wasael sab mayassar hai.n to har shai ki kami ka kya sabab aakhir,

Jaha.n dariya hi dariya ho.n waha.n tishna labi ka kya sabab aakhir,

Samunder ki chattano.n ne kahi.n to raasta roka hai pani ka,

Ubharti doobti lahro.n me.n warna sarkashi ka kya sabab aakheir,

Andhero.n ki taraf barhte qadam ko kiyo.n nahi zanjir kar deta ,

Khuda har simt raushan hai to meri gumrahi ka kya sabab aakheir,

Ham apne haal se dast o gariba.n ho.n ata kar voh hunar yarab ,

Wagarna chashme baatin me.n shoure aa gahi ka kya sabab aakheir,

Kama.n chahe kisi ko ho sitam ke tiir to mujh par hi aate hai.n,

Mai’n kiyo.n khamosh baitha hoo.n mere miri yakh bastagi ka kya sabab aakheir,

Mera har chaak daman meri sayi rayega.n par tanz karta hai,

Mujhe urya.n hi hona hai to is bakhya giri ka kya sabab aakheir,

******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 400