donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kyo.n aa.nkhe.n band karke raste mei.n chal raha hoo.n mai.n, *

Kyo.n aa.nkhe.n band karke raste mei.n chal raha hoo.n mai.n,

Kya mai.n bhii rafta rafta paTther mei.n Dhal raha hoo.n mai.n,

Charo.n Taraf hai.n sholey,hamsaaye jal rahe hai.n,

Mai.n ghar mei.n baiTha baiTha, bas haath mal raha hoo.n,

Mere Dhooe.n se meri har saa.ns ghut rahi hai

Mai.n raah ka diya hoo.n, aur ghar mei.n jal raha hoo.n,

Aa.nkho.n pe chaa gaya hai, koii talsum shaayed,

Palke.n jhapak raha hoo.n,manzar badal raha hai,

Tabdiiliyo.n ka nashsha,mujh per charhaa hua hai,

Kaprhe badal raha hoo.n,chehraa badal raha hoo.n,

Is faisle se khush hai.n,ifraad ghar ke saare,

Apnii khushii se kab mai.n,ghar se nikal raha hoo.n,

In paTtharo.n pe chalna, aajayega mujhe bhii,

Thoker To khaa raha hoo.n,lekin sa.mbhal raha hoo.n,

Kaa.nTo.n pe jab chaloo.nga,raftaar Tez hogi,

Phoolo.n bhari ravish per bach bach ke chal raha hoo.n,

Chashme kii tarah Aalam ash.aar phooTte hai.n,

Kohe giraa.n kii soorat, mai.n bhii ubal raha hoo.n.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 356