Khabar sachchi nahi.n lagti naye mausam ke aane ki
Meri basti me.n chalti hai hawa pichhle zamane ki
Meri har shakh ko mausam dilase roz deta hai
Magar ab tak nahi.n aai wo sa-at gul khilane ki
Suna hai aur ki khatir wo ab palke.n bichhati hai.n
Jo raahe.n muntazir rahti thii.n mere aane-jaane ki
Hamare zakhm hi ye kaam ab anjam dete hai.n
Zaroorat hi nahi.n parti labo.n ko muskurane ki
Zamana chahta hai kyo.n meri fitrat badal dena
Use kyo.n zid hai aakhir phool ko patthar banane ki
Hamare canvas par yu.n siyahi pher di kis ne
Ke ab jurrat nahi.n hoti naya manzar banane ki
Akarti ja rahi.n hai.n roz gardan ki rage.n Aalam
Hame.n aye kaash! aa jaye ada bhi sar jhukane ki.
**********