donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aarzoo Mehek
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Idhar dhoondhtee hoon udhar dhoondhtee hoon *

Idhar dhoondhtee hoon udhar dhoondhtee hoon
Tire pyaar ki raihguzar dhoondhtee hoon

Bahut talKh hai yeh safar zindagee ka
Harik moR per humsafar dhoondhtee hoon

Jo mujh per kabhi aaj tak kee nah tum ne
Wohee ik karam ki nazar dhoondhtee hoon

Abhee shamm-e ummid raushan hai dil meN
keh baad-e shab-e gham saHar dhoondhtee hoon

Satata hai jab shauq-e parwaaz mujh ko
TaRaptee hoon aur baal-o-par dhoondhtee hoon

kanaaroN ke Hasrat tumheN hogee shayad
mujhe doobna hai bhaNwar dhoondhtee hoon

yeh aalam hai ai “Aarzoo” ab junooN ka
keh sehra meN hooN aur ghar dhoondhtee hoon.


"Aarzoo Mehek"

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 352