donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aarzoo Mehek
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tum ho jab door tou kis Tarah basar hoti hai *

Tum ho jab door tou kis Tarah basar hoti hai
Kya batayeN tumhen hum kaise guzar hoti hai

"Dar-o deewar se rotee hooN lipaT kar har pal
Is tarah meri shub-e Gham ki Sahar hoti hai

Khud hi bun jaate hain roodaa.e tabahee Gunchey
Jab gulistaan pe KhazaooN ki nazar hoti hai


Umr bhar ki sabhi KhushiyoN pe hai bhaaree shayad
Bin tumhare woh jo ik raat basar hoti hai

Uff woh tanhayee woh rona woh taRapna mera
kaise shub guzree kahaN usko khabar hoti hai
moR bhee aate raheN Khaar bhi bikhre hoN jahaN
Bus wohee raah miree raahguzar hoti hai

Koyee bhoole se mire dar pe chala aayee kabhi
“Aarzoo” Eid usee din mire ghar hoti hai


"Aarzoo Mehek"

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 380