donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aarzoo Mehek
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* HameN Dar tha kahiN hum tak na kuch rung e bahaAr aaye *

HameN Dar tha kahiN hum tak na kuch rung e bahaAr aaye
“BaharoN ka zamana hum biyabaN meN guzar aaye”

Dua yeh hai keh jo bhi khel ho aur jo bhi bazee ho
Tire Hisse men jeet aaye mire Hisse meN haar aaye

HameN to her ada pe us kee pyar aata hai rah rah ker
Kabhi ik baar bhoole se usey bhi hum pe pyaar aaye

Mujhe us per bharosa tha mujhe us per bharosa hai
Kabhi ik baar tou us ko bhi mujh per e’tbaar aaye

Hamesha shamma’ jalte hi chale aate haiN parwane
Kabhi parvanoN tak khud shamma hoker beqarar aaye

Phir uske baad Haale dil chupayeN kis tarah us se
ZabaN pe lafz bun ke dard jab be iKhteyar aaye

Hamari zindagee ka "Aarzoo" bus mahSal woh haiN
Kisee ke saath haNs haNs ke jo hum do pal guzar aaye

"Aarzoo Mehek"

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 388