donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aarzoo Mehek
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na aansu aaNkh meN hai aur na dil meN beqaraari hai *

Na aansu aaNkh meN hai aur na dil meN beqaraari hai
Magar woh dard jo tum ne diya tha ab bhi jaari hai


Dikhane ke liye yuuN to tabassum lub pe hai lekin
Ik aalam karb ka ab tak hamare dil pe taari hai


Yeh bateN ishq waloN ki haiN inko tum na samjho ge
Woh hai phooloN ki baarish jo bazaahir sangbaari hai


Shab-e Gham kya hai, kya hai hijr bus itna samjh lo tum
Ke saari zindagee ki subHoN per ik shaam bhaari hai


Hamara pyaar ik sachchai hai aur ik Haqeeqat bhee
Tumhara pyaar bus ik rasm hai ik duniya dari hai


Saraaye hai yahaN har aane wala lauT jayega
Kisee ki "Arzoo" kal thee kisee ki aaj baari hai


"Aarzoo Mehek"

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 354