Sab akhbaron ke panon par
Kuch khaufzada tasveerein hai
Berang si kuch tehreerein hai
Wahshat hai khauf hai ankhon main
Umeed ke bandhan toot gaye
Aur amn.o sukoon barbaad hua
Ab kaisi talab hai ankhon main
Sahma hua aur shikasta dil
Insaan khala main takta hai
Jis shahar main pyaar tha chahat thi
Us main kuch bhi ho sakta hai
Dukh dene main dukh sehne main
Insaan kahaan tak jaaiga
Kab koi maseeha aaiga
Aur aman ki raah dikhaiga
Aye rahbaron
Kuch tum bhi kaho
Kya aisa waqt bhi aaiga...???
"aarzoomehek"