donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aasi Kashmiri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ik mohabbat nahi.n hai maa.n ki muhabbat jaisi *

Ik mohabbat nahi.n hai maa.n ki muhabbat jaisi
Koyee daulat nahi'n aulad ki daulat jaisi

Aik aik eint hai har simt hi jis ki bikhri
Zindagi lagti hai us tooti emaarat jaisi

Us se ummeed bhalayee ki abas hai rakhna
Koyee bhi baat na ho jis me'n sharafat jaisi

Shorish duniya me'n kat jaata hai din to lekin
Raat tanhaayee ki lagti hai qayaamat jaisi

Haq jatata hai har ik shakhs is duniya par
Zindagi meri huyee maale ghaneemat jaisi

Ajnabi, ajnabi mahsoos keya hai "Aasi"
Ghar me'n rah ke bhi zindagi hijrat jaisi


788,Wood Borough Road,
Nottingham NG3 5QJ (U.K)

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 468