donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aasim Shahnwaz Shibli
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Manta hoo.n dushmani ka hai zamana hai to hai *

Manta hoo.n dushmani ka hai zamana hai to hai

Dosto.n se dosti phir bhi nibhana hai to hai

Hai sada ka peyaas se rishta mera to keya kare.n

Paas apne tashnagi hi ka khazana hai to hai

Chaand khushboo aur naghma ho.n mobarak aapko

Ik purana hi badan apna thikana hai to hai

Khawab to dekha hi karti hai.n meri aa.nkhe.n sada

Khawab ko gar thapkiyo.n hi se sulaana hai to hai

Shahar ka manzar to sada rahta hai dilkash nahi.n

Ham ne mana yeh magar dil ka lubhana hai to hai

Yeh shikam aalood bistar aur Aasim zindagi

Keya kare.n ab yaad hi me.n shab bitaana hai to hai

89/5, Ripan Street, Kolkata-700016
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348