mera KHulus abhi saKHt imtihan mei.n hai
ki mere dost ka dushman meri ama.n mei.n hai
wo KHush-nasib parinda hai jo uDan mei.n hai
ki tir nikla nahi.n hai abhi kama.n mei.n hai
tumhaara nam liya tha kabhi mohabbat se
miThas us ki abhi tak meri zaba.n mei.n hai
tum aake lauT gae phir bhi ho yahi.n maujud
tumhaare jism ki KHushbu mere maka.n mei.n hai
kaha.n milega hasino.n ko daur-e-hazir mei.n
wo shahzada jo pariyo.n ki dasta.n mei.n hai
hai jism saKHt magar dil bahut hi nazuk hai
ki jaise aaina mahfuz ek chaTTan mei.n hai
tujhe jo zaKHm de tu us ko phul de dana
yahi usul-e-wafa tere KHandan mei.n hai
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸