donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Ghafoor Nassakh
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* naqsh-e-dil hai sitam judai ka *

naqsh-e-dil hai sitam judai ka
shauq phir kis ko aashnai ka
chakhte hain ab maza judai ka
ye natija hai aashnai ka
un ke dil ki kudurat aur baDhi
zikr kijiye agar safai ka
dekh to sang-e-astan pe tere
hai nishan kis ki jabha-sai ka
tere dar ka gada jo hai ai dost
aish karta hai baadshai ka
duKHtar-e-raz ne kar diya baatil
mujh ko dawa tha parsai ka
karte hai.n ahl-e-asma.n charcha
mere nalo.n ki na-rasai ka
kaT Dalo agar zaba.n pe mere
harf aaya ho aashnai ka
kar ke sadqe na chhoD de.n 'nassakh'
dil ko dhaDka hai kyu.n rihai ka

********************

 

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 266