Toota hu.n kitni baar mai.n, ginta nahi hoo.n ab,
Chhorho meray wajuud ko, jurhta nahi hoo.n ab,
Likha hai itni baar mai.n nay khuwaab ko azaab,
Kaisa bhi koi khuwaab ho darta nahi hoo.n ab,
Maarei.n ge ab yeh kiya mujhey nafrat ke barchhiyaa.n,
Maara hai itni baar ke marta nahi hoo.n ab,
Aati hai baar baar hawa mujh say chheen.nay,
Khushboo mai.n apnay dard ke deta nahi hoo.n ab,
Aayene mei.n ab to saaray he chehray hai.n ajnabi,
Tu kaun hai mai.n kaun hoo.n kehta nahi hoo.n ab,
Shaiyad mai.n munkashif na hua apni zaat say,
Likhta hoo.n saari raat mai.n sota nahi hoo.n ab,
Pahunchay gi dil ke cheekh kabhi aasmaa.n talak,
Rakhta hoo.n sar zameen pe, khulta nahi hoo.n ab,
Phoonkay na koi kaan mei.n Ebad aa kay soor,
Patthar ka ho gaya hoo.n mai.n sunta nahi hoo.n ab.