Aik jaisa sab ka gham hota nahie.n
Bojh har mazdoor pe dhota nahee.n
Khone wala paataa hai kal tak yeh thaa
Aaj woh paataa hai jo khotaa nahie.n
Tulsi ban jaye koyee ik raat me.n
Ab guruji! Aisa kyo.n hota nahie.n
Khaar -o- khhas upja ke shorat mil gayee
Us ne apna khet hi jotaa nahi.n
Log shahro.n hi me.n ab lutne lage
Janglo.n me.n koyee kuchh khota nahi.n
Paasbaane shab ko tarsi chhorh kar
Shahar me.n ab koyee bhi sota nahi.n
Moh. Faizullah khan , Darbhanga-846004 (Bihar)