donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* na ada mujh se hua us sitam-ijad ka haq *

na ada mujh se hua us sitam-ijad ka haq
meri gardan pe raha KHanjar-e-bedad ka haq
naseho gar na sunu.n mai.n meri qismat ka qusur
tum ne irshad kiya jo ki hai irshad ka haq
yaad to haq ki tujhe yaad hi par yaad rahi
yar dushwar hai wo yaad jo hai yaad ka haq
apni taswir pe sadqe tere sadqe kar use
isi surat se ada howega bahzad ka haq
haq ko baatil koi kis tarah se kah de ai but
kahi.n sani nahi.n us husn-e-KHuda-dad ka haq
jaan-kani pesha ho jis ka wo lahaq hai tera
tujh pe shiri.n hai na KHusraw ka na farhad ka haq
bar-e-ehsan se nahi.n sar bhi uTha sakta hu.n
mere sar par hi raha us mere jallad ka haq
sun ke kahta hai yaha.n kaun hai sunta mat sun
sunne wala hi suna is meri fariyaad ka haq
wahi insan hai 'ehsan' ki jise ilm hai kuchh
haq ye hai bap se afzu.n rahe ustad ka haq

++++++++++

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 112