sitam sa koi sitam hai tera panah teri
paDi hai chaar taraf ek tarah tarah teri
tariq par jo nahi.n tu hai rah na mere sath
wo rah meri hai ai jaan sun ye rah teri
dila tu ishq mei.n har lahza ashk-e-KHuni.n ro
ki surKH-rui isi se hai ru-siyah teri
main itna bazi-e-ulfat mei.n kyu.n na hu.n shashdar
jo mango panch do paDte hai.n KHwah-maKHwah teri
ghazal jawasht ho 'ehsan' to wah-wah na kar
kahegi KHalq ki wae hai wah-wah teri
+++++++++