tir pahlu mei.n nahi.n ai rufaqa-e-parwaz
tair-e-jaan ke ye par hai.n barae parwaz
yu.n to par-band hu.n par yar paro.n par mere
jo girah teri hai so uqda-kusha-e-parwaz
ek parwaz ki taqat nahi.n us ja se mujhe
aur jo hukm ho sayyaad siwae parwaz
dekhiyo nama na laya ho kabutar is ka
kuchh mere kan mei.n aati hai sada-e-parwaz
be-par-o-baali pe ghash hu.n ki ye har dam hai rafiq
thi par-o-baal hi tak hum se wafa-e-parwaz
apne nazdik to is dam mei.n phans kar sayyaad
kisi kam-baKHt ko howega hawa-e-parwaz
to bhi us tak hai rasai mujhe 'ehsan' dushwar
dam lu.n gar par-e-jibril bara-e-parwaz
++++++++