donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Rat-jagey naraaz is par ho gaye *

GHAZAL


Rat-jagey naraaz is par ho gaye
Khawab aankhoN ka muqaddar ho gaye

Jo zabaN marham thi mere wastey
Aaj uske lafz nishtar ho gaye

Maine ik deevaar dekhi khwab meiN
Aur phir deevaar mei.n dar ho gaye

Ham usey but kehtey kehtey dosto
Ye hua k khud hi patTher ho gaye

Ranj se chehra shafaq-aageeN hua
Doobtey sooraj ka manzar ho gaye

Dosto ki mehfiloN mei.n aa gaya
Jab se kuch haalat behtar ho gaye

Jaane kis ke aansuoN ka faiz hai
Wo jo sehara they samandar ho gaye

Beh gaye sab tez dhaarOn mei.n sukhan
Jo bachey they wo shanavar ho gaye


***********

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 418