donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ghamza-e-dil-fareb se , koi fareb khaaye kiyo.N *

Ghamza-e-dil-fareb se , koi fareb khaaye kiyo.N
daam-e-nigaah-e-husn mei.N, ishq abas hi aaye kiyo.N

dost hai.N ya raqeeb hai.N, ahle-sitam k shaikh hai.N
Dekho to kaun log hai.N, aaye hai.N sar jhukaaye kiyo.N

Aa ke faseel-e- shehr mei.N, ham to ye sochtey rahey
dasht-navardiyo.N se ham, ghar ko hi laut aaye kiyo.N

Mashq-e-sitam ke wastey, kitne raqeeb hai.N magar
Unke lahu se kya gharaz, unko wo aazmaaye kiyo.N

Tark-e- wafa ka faisla, aapne khud kiya tha phir
palko.N pe jugnu aapki, aaj ye jhilmilaye kiyo.N

Qarya-e-ishq mei.N jaha.N, kitne hi ghar ujad gaye
Khema e aarzu waha.N, koi sukhan lagaye kiyo.N


******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 418